Sookhi simti hui kuch yaadein, khanakti hain aaj bhi;
Zang lagi tooti payal, chanakti hai aaj bhi;
Maili kuch tanhaiyaan kahin, mehekti hain aaj bhi;
Bujhi hui har baat, chamakti hai aaj bhi;
Inhi se zindagi chunkar, ek naya ghar bnaya hai maine;
Us chamak ki taaron se, ek naya khwab sajaya hai maine;
Aaj dhoya besharam mail ko, ek naye ehsaas se;
Siskiyon ki awaaz se, ek naya saaz banaya hai maine;
Duaon ke kandeel se hai roshan, raat ka vo masoom sa chaand;
Maathe pe chamakta hai teeka ban kar, baadlon k beech se jhaankta tera naam...
5 comments:
woh aur uske hone ka ehsaas, abhi to yahi kaafi hai mere liye. baki sapnein bhi bun lenge dheere dheere :)
take care hmmmm ki chachi
and pink looked so garish...
hmmmmmmm di,lage raho
dee....
zang lag jaaye agar mujhme to?
meri ek khwahish hai...
bhula dena..
purane mail ko phikwa dena...
dhoke har zang ka daag nahi mit ta...
chamak kho jaye agar
to sirf parat laga ke hi
fir roshan hota hai
ek nakli parat....
gnite
hmmm shadows, zang me chupi chamak ko palkon se chuna hai, parat nahi hai, zindagi hai jisse mail dho kar use fir se sajaya hai, bhulaun to tab jab yaad karun us ehsaas ko jo mere vajood ka hissa ho, aaina ho jisne mujhe fir se kiya ho roshan. u know vat, life always has to give you sumthing, its upto u to accept.
adi; thanx 4 t feedback.
nihar: i dint realy get u.
Post a Comment