Khaak hote in anjaan lamho ka kya kije,
Tujhse na ho baat, fir lafzon ka kya kije;
Beparwah shor-o-gul ke beech hai khoti,
Is kambhakt beimaan zubaan ka kya kije;
Khwab dekhkar taameer bhi kar lete hum inhe,
Is adhkhuli adhjagi aankh ka kya kije;
Deewangi ki koi had dhoti to paar karte,
Is besabab beadab raftaar ka kya kije;
Khuda se maangte gar khuda hume nawaazta tujh se,
Is be mauke ramzaan me azaan ka kya kije;
Baith-te har us mehfil me jahan zikr ho tera,
Is bad-mizaaz bad-dimaag jahaan ka kya kije;
Fursat hoti to har ik lafz sajate tere naam se duniya k liye,
Badzaat is waqt ki guhaar ka kya kije;
Sailaab hota to karte thaamne ki koshish hum koi,
Palak se jude is there tufaan ka kya kije;
Junoon hai ki zalzala le aaye jahan bhar ki khushi,
Jo khud hi se dare hum, aise jazbaat ka kya kije.
14 comments:
aah!! ye pyaar..khwaabo ki taabir kya kahiye
dhadkne gulaam naseeb do ghadi thehrna bhi na dije
hote pe jaa tiki hai ab..kapkapati adhro ke niche
jhaak ke dekhti hai aksar..kabhi rukne na dije...
na-paak hai na farmaan hai..tarzumaan ye nazme-ekhaas hai
inke aabro ko apne lafzo mein chupaan na dije..
bas kehti hai mauje is naseem mein basi kahi
ab ruki to behne na dije..
MAJOR love ;)
beautifully written
tujhe bolke kya karun???
kuch bolungi to... khair....
wel m nt going to write a poem on this;)
its amazing di
hi pyar pyar n pyar,bole to sirf baahar phir yeh shikwa kyu hmmmmmm????????
Kiya baat hai Deepti...Wah..
Bohut khoosorat lafzon mai piroi hoi aik khoobsurat ghazal :)
Hugs :)
Stay Beautiful...!!
Sahil: right said buddy.
Dharma: honestly speaking i dint get u.
Aditi: thanx.
Appu: tu nahi bolegi to kaun bolega meri jaan.
Nihar: hmmm, u never know beta. looks can be deceptive.
Nahal: Thanxs sweets... hw r u?
wow,kya baat..khwaabo ki taabir kya kahiye
dhadkne gulaam naseeb do ghadi thehrna bhi na dije
tujhe bolke kya karun???
kuch bolungi to... khair....
hote pe jaa tiki hai ab..kapkapati adhro ke niche
jhaak ke dekhti hai aksar..kabhi rukne na dije...
ab ruki to behne na dije..
beautifully written
its simply amazing !
Wow!
Tujhse na ho baat, fir lafzon ka kya kije
OUCH!
Likhe aaj tak nazm humne bhi badi shaan se ...
Jab useh padh liya to apni kalam tod di humne!
May I hv another pen pls ;)
GBU
Arti
oh, am sorry - we use the word 'major' loosely - to qualify something in a positive (big?) sort of sense.
say, like, die hard-4 is a major action movie.
so i read ur verse, so fully of romantic love, and hence the comment. :)
PS: like the last line most.
@nik : helllooo mene likha hai!!!!
ha ha ha
Heyy it is so beautifully written. Pyar dekhna ho to bas ye hee do blog hain. Ek tumhara & doosra Adi ka. :)
Keep writing.
read it for the nth time... loved it again. this post by you and 'yellow dancing leaves' by vir... love them. read and re-read these ones. just wanted to tell you. love you darling.mwaah.
Post a Comment