Thursday, October 05, 2017

Zindagi.

Ek panne se dusre panne k beech ka faasla ho
 shyaad,
Bistar ki khamosh silwaton me chupi karwatein ya fir,
Darwaaze par lagi doorbell se aati Teri dastak shayad,
Intezaar ki tick tock me guzarte hon lamhe 
ya fir.
Adhuri nazmon ke beech atki hui guftugu Hai shayd,
Gazal k intezaar me bhatakti ho koi mausiki 
ya fir.
Benoor seher me ho qaid roshan mehtaab
 shayad,
Khaali kandeel dhoondta ho roshan falak 
ya fir.
Aus ki boondein timtimaati hon sitaaron par shyad,
Band lafzon me jhilmilaate hon lakhon ashq 
ya fir.

Teri saans se bandhi Hai ye uljhi girah shayad,
Ishq Hai, junoon Hai, Hai ye Zindagi ya fir.

No comments:

Mayfly.

Sun-kissed nights,  run wild and sure mornings, shrouded in grey walk slow,  noons burn high, and so do the hearts. like dawns I linger, lik...