Taaron ko chhant kar,
Pooja ki thali me diye jalaye hain.
Komal ehsaas haule se piro kar,
Sundar surbhit haar banaye hain.
Kesar aur kum kum nas-nas me bhar kar,
Hawa ne ungli se tilak lagaye hain.
Dhoop baati aur kapoor saanso se chun kar,
Mann ke kaune-kaune ehkaye hain.
Rom-rom se japp-te tera naam,
Band hothon se agannit shankh bajaye hain.
Maatha tek kar dehleez par teri,
Aastha aur vishwaas ke bhog lagaye hain.
Aarti ki,rupehli,lau se,
Jhuke hue ye naiyan jagmagaye hain.
Hatheliyon ko jodd kar tere aage,
Nanhe-nanhe haath failaye hain.
Hey shaam fir yamuna k teer,
Lehron par kiranon ne sapne sajaye hain.
Vanshi ki dhun par thirakti meri payal,
Har aahat pe Radha ke Shaam aaye hain.